Naashta Chornay k 5 Chhupe Huy Nuqsanaat
Naashta chorhna chahe bhook na lagne ki wajah se ho, busy schedule ki wajah se ya phir wazan kam karne k liye sehat k liye kai chhupe huy nuqsanaat ka sabab ban sakta hai. Dr. Nguyen Thi Phuong, jo k Tam Anh General Hospital, Hanoi k Department of Nutrition and Dietetics se wabasta hain, kehti hain k naashta din ka sab se aham khana hai. Unka kehna hai k naashta chhorne se sehat par kai bure asrat padte hain, jin mein se chand ye hain:
1. Thakan aur Kamzori
Naashta jism aur dimagh k liye zaroori ghizaayat aur energy faraham karta hai. Agar aap naashta chhor dete hain to metabolism sust ho jata hai, jisse thakan mehsoos hoti hai, tawajjuh dena mushkil ho jata hai, aur yadasht kamzor ho sakti hai.
2. Motapa (Obesity)
Aksar log samajhte hain k naashta chhorne se wazan kam hota hai, lekin Dr. Phuong k mutabiq ye ghalat fehmi hai. Naashta chhorne se din k baqi hisso mein zyada bhook lagti hai, jis se log ya to lunch aur dinner mein zyada kha lete hain ya beech beech mein unhealthy snacks khate hain. Ye aadat calories ka zyada istemal aur motapay ka sabab ban sakti hai.
3. Daimi Bimariyon ka Khatra
Naashta metabolism ko start karta hai aur blood sugar level ko barabar rakhta hai. Naashta chhorne se blood sugar mein utar chadhav hota hai, jis se jism insulin zyada banata hai aur ye insulin resistance ka sabab ban sakta hai, jo k type 2 diabetes ka aik bara risk factor hai.
Iske ilawa, lamba fasting inflammatory cytokines ka level barha deta hai, jo k daimi bimariyon (jaise diabetes, dil ki bimariyon) ka khatra barha deta hai.
4. Meday k Zakhm (Ulcers)
Agar aap naashta nahi karte, to bhi meda tezi se acid banata hai lekin us acid ko neutralize karne k liye koi khana nahi hota. Ye acid meday ki lining ko nuksan pohancha sakta hai, jis se gastric ya duodenal ulcers ho sakte hain.
Naashta chhorne ko kuch gastrointestinal cancers (jaise k esophagus, stomach, colon, liver aur bile duct k cancer) k sath bhi jora gaya hai.
5. Pitay ki pathri ka Khatra
Khaane se gallbladder active hota hai aur bile intestine mein release karta hai. Naashta chodne se gallbladder kam active rehta hai, jisse bile ka jamav ho jata hai. Ye bile jam kar gallstones (pathri) ka sabab ban sakti hai.
Naashta chhorne se aanton ki harkat bhi ahista jati hai, jis se qabz aur cholesterol k faazil higallbladder activesson ka nikalna mushkil ho jata hai ye bhi gallstones ka sabab ban sakta hai.
Dr. Phuong ki Salah
Dr. Phuong mashwara deti hain k har roz aik sehatmand, balanced aur nutritious naashta zaroor lena chahiye jo k chaar khane k groups par mabni ho:
- Protein: Anda, doodh, lean meat, daalen
- Complex Carbohydrates: Oats, brown rice, whole grain bread, sweet potato, corn
- Healthy Fats: Nuts, avocado, olive oil
- Phal aur Sabziyan
Acha naashta na sirf aap ko energy deta hai balki lambi muddat tak sehatmand rehne mein bhi madad karta hai.