Imam-e-Kaba Ka Hajj K Khutbe Mein Falasteen K Liye Dua, Reham Dili Aur Ikhlaaq Par Zor
Masjid-e-Haram k Imam, Sheikh Saleh bin Abdullah bin Humaid ne Hajj k paighaam ada karte huy Falasteen k logon k liye dua ki aur Musalmano ko reham dili, humdardi aur deen k bunyadi usoolon par amal karne ki naseehat ki.
Aaj duniya bhar se takreeban 15 lakh hajion ne Rukn-e-Azam Waqoof-e-Arafat ada kiya, jo Hajj ka sab se muqaddas marhala hai. Jabl-e-Rehmat (Mount Arafat) par kharay ho kar hajiyon ne Allah se gunahon ki maafi mangi.
Imam-e-Kaaba ne khutbe mein parosi ka khayal rakhne, yateemon, bewaon aur ghareebon se humdardi, walidain k sath husn-e-sulook aur zakat dene ki ahmiyat ko ujaagar kiya. Unhon ne taqwa, shukar guzari, aur Allah ki ibadat mein pabandi ikhtiyar karne ki hidayat di.
Imam ne sach bolne, wada nibhane, aur haya ko imaan ka hissa qarar diya. Unka kehna tha k buraai ka jawab bhalai se dena dushman ko bhi dost bana sakta hai.
Unhon ne Saudi hukumat ka shukriya bhi ada kiya k unhon ne hajiyon k liye behtareen intizaamaat kiye.
Hajj k sab se aham din Arafat par, hajiyon ko garmi se bachne ki hidayat di gayi. Guzishta saal 1300 se zyada afrad garmi k bais halaak ho gaye thay. Is saal Saudi hakam ne 50,000 square meter shaded area barhaya, 400 se zyada cooling units lagaye aur hazaron doctors ko standby par rakha.
Pahar k qareeb fanon se mist spray kiya gaya, logon ko ice packs diye gaye. Bawajood shadeed garmi k, hajiyon ka jazba buland raha. Misar se aaye 44 saala Ahmed ka kehna tha, "Main garmi ka nahi sochta, kiyun k Arafat mein kharay hona aik azeem aur khoobsurat lamha hai."
Pakistan se aaye Ali (33) ne kaha, "Ye wo lamha hai jo mein har saal TV par dekhta tha aur kehta tha: Kash main wahan hota."
Technology k zariye bhi hajom ka control mazboot banaya gaya hai – 15,000 se zyada AI ki buniyad par cameras, drone se nigrani aur text alerts k zariye naqabli hajiyon ko roka gaya hai.
Saudi Arabia har saal Hajj aur Umrah se arabon dollar kamata hai. Is bar bhi Hajj permits lottery k zariye muqarrar kiye gaye hain, jab k bina ijazat Hajj karne ki koshish karne walon k khilaf sakht karwai ki ja rahi hai.