Mall of America Mein Duniya Ki Sab Se Contagious Bimari Khasra Ka Case Samne Aa Gaya – Aam Logon Kay Liye Health Warning

 

America kay sab se bade shopping mall, Mall of America (jo 78 football fields kay barabar hai), mein khasry ka aik case samne aane kay baad sehat kay hakam ne emergency warning jari kar di hai.

Dakota County ka aik ghair vaccine shuda bacha, jo 24 May ko mall kay theme park gaya tha, khasry se mutasir paya gaya hai. Ye bacha us waqt infectious tha jab wo mall mein tha. Officials kay mutabiq, jo log 24 May ko shaam 5 baje se 9 baje kay darmiyan Mall of America mein mojood thy, wo virus ka shikar ho sakty hain.

Minnesota Health Department ne kaha hai kay khasry ki alamat– jaise kay bukhar, khansi, aur jism par daagh ya rash – 14 June tak zahir ho sakty hain. ghair vaccine shuda log sab se zyada khatre mein hain.

Minnesota mein aik aur khasry ka case bhi confirm hua hai, lekin iska pehle wale case se koi taalluq nahi. Ye dusra case Washington County kay aik adult ka hai jiska vaccination record confirm nahi ho saka. Dono mutasir afraad abhi apne gharon mein sehat yaab ho rahe hain.

Ab tak 2025 mein Minnesota mein khasry kay 4 cases confirm ho chuke hain. Jessica Hancock-Allen, Minnesota Department of Health ki infectious diseases director, ne kaha kay Mall of America wala case khas tor par is liye concerning hai kiyun ki is ka source ab tak maloom nahi ho saka.

Unka kehna tha, "Jab kisi case ka zaria maloom nahi hota, to iska matlab ho sakta hai kay khasra logon mein chhup kar phail raha hai aur health systems usay detect nahi kar pa rahe."

CDC ne bhi travel aur hajom wali taqreebat kay hawalay se nayi advisory jari ki hai. Unka kehna hai kay airports, trains, aur tourist attractions par khasry ka khatra zyada hota hai – khas tor par agar aap vaccinated nahi hain.

Ab tak US mein 2025 kay dauran 1,088 khasry kay cases aur kam az kam 3 amwat report hui hain. In mein se zyada tar bachay (19 saal se chhote) mutasir hue hain.

Experts kehte hain kay MMR vaccine – jo 97% tak effective hai – khasry se bachao ka behtreen tareeqa hai. Bachon ko pehla dose 12-15 mahine ki umar mein, aur doosra dose 4-6 saal ki umar mein lagwana chahiye.

Vaccine hichkichahat aur galat maloomat ki wajah se vaccine lagwane mein kami dekhi gayi hai, jo is resurgence ka sabab ban rahi hai. Agar vaccination rates mazeed girti rahi, to khasra dubara aam bimari ban sakti hai, warn karte hain Johns Hopkins University kay researchers.


//