Vietjet Ne Singapore Se Duniya K Doosre Khoobsurat Tareen Jazeere Phu Quoc K Liye Naya Raasta Shuru Kar Diya
Vietjet ne aik naya beino-ul-aqwami raasta shuru kar diya hai jo Singapore ko Vietnam k mashhoor jazire Phu Quoc se milata hai — jaise pichly saal Travel + Leisure k readers ne Maldives k baad duniya ka doosra sab se khoobsurat jazira qarar diya tha.
Ye naya raasta 30 May se har hafty char martaba chalay ga: Peer, Budh, Jumma aur Itwaar k din. Phu Quoc se flight dupehar 3:45 par (local waqt k mutabiq) udti hai aur Singapore k Changi International Airport par shaam 6:30 par pohanchti hai. Wapas Singapore se Phu Quoc k liye flight dupehar 1:05 par chalay gi aur usi din 1:45 par manzil par pohanchay gi (local waqt k mutabiq).
Nayi Singapore–Phu Quoc route k zariye, Vietjet k Vietnam aur Singapore k darmiyan haftawaar flights ki tadad 78 tak pohanch gayi hai. Airline ka kehna hai k wo har saal aadha million se zyada musafiron ko serve karne ka irada rakhti hai.
Sirf is saal k pehly quarter mein, Phu Quoc ne 20 lakh se zyada visitors ko khushamdeed kaha — jin mein 474,468 ghair mulki sair o siyahat k shaiqeen shamil thy. Ye pichly saal k muqable mein 66.5% ka izafa hai. Jazira is saal k aakhir tak 10 lakh bin alaqwami siyahon ka hadaf rakhta hai.
2024 mein, Phu Quoc ne 5.9 million se zyada siyahon ko apni taraf mutawaja kiya — jo k pichly saal se 7.1% zyada hai. In mein 963,000 international arrivals bhi shamil hain.
Ye route sirf aik travel option nahi, balkeh Vietnam ki tourism industry k liye aik aur bada qadam hai.