Pakistan Mein E-Commerce K Liye Nai Tax Policy Ka Nafaz
Hukumat-e-Pakistan ne 2025-26 k budget mein e-commerce businesses ko tax net mein lane ka faisla kar liya hai. Ab online maal ya services bechne wale afraad aur companies ko bhi tax dena hoga. Federal Finance Minister Muhammad Aurangzeb ne National Assembly mein Rs. 17,573 billion ka budget pesh karte huy is nai policy ka elan kiya.
Digital transactions ko regulate karne k liye, hukumat ne "Digital Presence Proceeds Tax Act 2025" ka tajzia pesh kiya hai. Ye qanun ensure karega k online sellers apni kamai par tax ada karen. Is k ilawa, online maal aur services k orders par bhi ab tax lagaya jayega. E-commerce businesses ko har mahine apni transactions aur tax data mutalqah hakam ko jama karwana hoga.
Finance Minister ne wazahat ki k Pakistan ka mojuda tax nizam abhi tak sarhad par e-commerce ko effectively cover nahi karta. Aksar ghair mulki dukandaron ki websites aur mobile apps k zariye apne products Pakistan mein bechte hain, aur cash-on-delivery services ka sahara lete hain. Magar, mojuda tax agreements k tehat, wo ghair mulki companies jo Pakistan mein permanent business presence nahi rakhti, wo income tax se exempt hain.
Is maslay ko hal karne k liye, hukumat ne aik nai tax policy lane ka plan tayar kiya hai, jo un ghair mulki sellers ko target karegi jo Pakistan k digital market mein bech rahe hain. Nai policy k tehat, banks, financial institutions, aur payment platforms ko ye zimmedari di gayi hai k wo ghair mulki vendors ko hone wali digital payments par 5% tax deduct karen.
Hukumat ka kehna hai k ye iqdamat tax amdani mein izafa karne mein madadgar sabit honge aur rawayati dukandaron aur online businesses k darmiyan barabri ka muqabla yaqini banayenge. Sath hi, officials ne is baat par bhi zor diya k sarhad par digital trade ko regulate karne k liye international tax agreements ki bhi sakht zarurat hai.
Ye tax reforms sirf amdani barhane k liye nahi, balke digital economy ko transparent aur structured banane k liye bhi zaroori samjhe ja rahe hain. Pakistan mein tezi se barhti online shopping aur digital platforms ki roshni mein, hukumat ka ye qadam aik aham morh sabit ho sakta hai jo mulk ki tax base ko broaden karega aur ghair daswavezi digital economy ko formal sector mein laane mein madad dy ga.