Pakistan Mein Sona Sasta, Chandi Mehngi 7 Din Se Qeemat Mein Kami Jaari



Pakistan mein sona ki qeemat mein lagataar 7 din se kami dekhi ja rahi hai. All Pakistan Sarafa Gems and Jewelers Association k mutabiq, Monday ko 24 karat sona per tola Rs. 300 sasta hua aur is waqt Rs. 358,165 mein farokht ho raha hai. Pichlay kaam k din sona Rs. 358,465 per tola mein mil raha tha.


10 Grams Sone Ki Qeemat Mein Bhi Kami

24 karat sone k 10 grams ki qeemat bhi Rs. 257 kam hui aur ab Rs. 307,068 ho gayi hai, jab k pehlay yeh Rs. 307,325 thi.

Isi tarah 22 karat sone k 10 grams ki qeemat bhi Rs. 235 kam ho kar Rs. 281,489 ho gayi hai, pehle yeh Rs. 281,724 thi.


Chandi Ki Qeemat Mein Izafa


Jahan sona sasta ho raha hai, wahi chandi mehngi hoti ja rahi hai.

Per tola chandi Rs. 14 barh kar Rs. 3,799 ho gayi hai, jab k 10 grams chandi Rs. 12 barh kar Rs. 3,257 tak pohanch gayi hai.


International Market Ka Asar


International market mein bhi sona thoda sasta hua hai.

Sone ki qeemat $3 kam ho kar $3,366 ho gayi hai, jab k pehle yeh $3,369 thi.

Lekin chandi ki qeemat $0.14 barh kar $36.15 ho gayi hai.


Aakhir Main:

Aik taraf Pakistan mein sone ki qeemat gir rahi hai jo k kharidaron k liye acha moka ban sakta hai, doosri taraf chandi ki qeemat barhne se uske investors ko faida ho raha hai. Agar aap investment ka soch rahe hain, to market trends par nazar rakhna bohot zaroori hai.

 


//