Pakistan ne Indian Aircrafts k liye Airspace Ban ek aur mahine k liye barha diya
Islamabad: Pakistan ne India ke aircrafts k liye apni airspace ka ban ek aur mahine k liye extend kar diya hai. Yeh faisla mulki security aur ongoing tensions ke madde nazar kiya gaya hai.
Is ban ka matlab hai ke Indian commercial aur cargo flights ab bhi Pakistan ki hawaai hadood istemal nahi kar sakteen. Yeh ban pehle bhi laga tha, aur ab dobara ek mahine ke liye barhaya gaya hai.
Civil Aviation Authority ne official notification ke zariye is extension ka elan kiya. Yeh kaha gaya k ye ban turant effect mein hai aur aglay ek mahine tak jari rahega. Uske baad situation ka phir se jaiza liya jaayega.
Pehle Ban Kab Laga ?
Yeh ban pehli dafa 2019 mein laga tha jab India aur Pakistan k darmiyan Line of Control (LoC) par tensions barh gaye the. Us waqt se ab tak kai dafa is ban ko renew kiya gaya hai.
Experts ka kehna hai k is faislay se dono mulkon ki aviation industries ko nuksan ho raha hai, khaas tor par un flights ko jo normally Pakistan ke rasta shortest route k liye istemal karti hain.
Government sources ka yeh bhi kehna hai k jab tak India ke sath relation normal nahi hote, aise bans lagay rehne k chances hain.
Agle mahine tak k liye yeh ban jari rahega aur uske baad decide kiya jaayega ke isay khatam karna hai ya mazeed barhana hai.