Syria mein Church par Dehshat Gardi ka Hamla, Kam Az Kam 25 Afraad Jaan Bahak


Syria k darul-hukumat Damascus k qareebi ilaqay Dweil’a mein aik Eastern Orthodox church mein itwaar k din aik khudkush hamla aawar ne ibadat mein masroof logon par firing kar k apna explosive vest uda diya, jis k natije mein kam az kam 25 log jaan se gaye aur 63 zakhmi huy, local media ne report kiya.

Ye hamla Mar Elias Church k andar hua jab log dua mein masroof thy. Hamla awar ne church k andar ghus kar firing ki, aur jab log usy rokne ki koshish kar rahe thy to usne darwazay k qareeb apna barood uda diya.

Saalon baad pehla aisa hamla

Ye Syria mein kisi church par salon baad pehla bara dehshatgardana hamla tha. Ye waqia us waqt hua jab Syria ki nai hukumat Bashar al-Assad k baad mulk k minorities ka etimad jeetne ki koshish kar rahi hai.

Syria k Interior Ministry ne kaha k abhi tak kisi group ne hamlay ki zimmedari qabool nahi ki, lekin initial investigation k mutabiq is mein so-called Islamic State (IS) group k hath hone ka shak hai.

Hamlay ki tafseelat

Ministry ne kaha k aik musallah shanakht posh aadmi ne church mein ghus kar firing ki aur phir explosive vest uda di. Kuch gawahon ne kaha k logon ne usy rokne ki koshish ki to usne khud ko uda diya.

Kuch local media reports k mutabiq kuch bachay bhi iss hamlay mein halak huy.

Official reaction

Syria k Information Minister Hamza Mostafa ne is waqiay ko dehshatgardi qarar dete huy shiddat se muzammat ki. Unhon ne kaha:

“Ye buzdili ka amal hamari wo tamadduni qeematain torta hai jo humen aapas mein jorti hain. Hum barabri k shehri huqooq k liye koshish jaari rakhein ge aur riyasat apni poori koshish kare gi k dehshatgard tanzeemon ka khatma ho aur awam ki hifazat ki jaa sake.”

Pehli madad dene walay aur security forces foran moqa-e-waqiay par pohanch gaye. Aik aurat ghutno k bal gir kar rone lagi jab k kuch log dehshat mein cheekhne lagay.

Father Fadi Ghattas ka bayaan

Church k Father Fadi Ghattas ne bataya k us waqt taqreeban 350 log church mein ibadat kar rahe thy. Unhon ne kaha, “Main ne apni aankhon se kam az kam 20 laashein dekhi. Log Khuda k samne pur-sukoon ibadat kar rahe thy.”

Syria ki Social Affairs aur Labour Minister Hind Kabawat, jo k aik Christian aur aurat minister hain, ne raat ko church ka daura kiya aur clergy se mulaqat kar k taziyat ka izhar kiya.

Dusra hamla awar bhi tha?

Church k aik dosray priest ka kehna hai k aik dosra gunman bhi tha jo church k darwazay par firing kar raha tha jab k pehla shaks andar ja kar khud ko uda chuka tha.

President Ahmad al-Sharaa k liye mulk mein ikhtiyar qaim rakhna mushkil ho gaya hai, aur aise mein Syria mein chhupe huy extremist groups k sleeper cells ka khatra barh gaya hai.


//