Achi Tanakhwa K Liye Naukri Tabdeel Karna – Har Umar Mein Mumkin Hai
Job-hopping yaani aksar naukriyan tabdeel karna ab har kisi k liye faida ka sabab nahi raha, lekin kai log ab bhi samajhte hain k agar hunar aur sahi soch ho, to 60 saal ki umr mein bhi behtar tanakhwa wali naukri mil sakti hai.
VnExpress k readers ne apne khayalat ka izhar kiya k kya naukri tabdeel karne se waqai zyada paisa milta hai ya nahi.
Reader Pham Phuong ka kehna tha:
"Main khush naseeb raha k aik hi field mein qaim raha, job-hopping k trend k peeche nahi bhaaga. Har field chaahe office ka kaam ho ya tech industry aaj kal economic slowdown aur kam hoti salaries ka samna kar rahi hai. Har jagah competition bohat zyada hai, aur har kisi ko aapki jagah chahiye hoti hai. Is liye faisla aap ka hota hai: ya to aik mustahkam naukri mein qaim raho ya apne hunar ko behtar banao aur aage barhne ki koshish karo. Sirf tanakhwa kisi naukri ki ahmiyat tay nahi karti. Career growth aur job security bhi zaroori hain. Agar aap naye hunar nahi seekhte to aakhir mein nuksan aap ka hi hota hai."
Forbes ki report k mutabiq, 2020 se 2023 k darmiyan naukri tabdeel karne wale afraad ki tanakhwa mein 10 se 20% tak izafa hua kuch cases mein to 30-50% tak bhi. Lekin 2024 k aakhir tak ye trend badal gaya. Ab 26% logon ko naye job par wohi tanakhwa milti hai, jab k 13% ne kam paise par job qabool ki, aur 4% logon ki income to 20% tak kam ho gayi.
Reader Pvsryd ne ehtiyaat baratne ki salahiyat di:
"Nayi naukri lena is liye zaroori ho sakta hai taake aap behtar company mein kaam kar sakein ya apni value sabit kar sakein. Lekin ye strategy zyada tar jawan professionals ya 45 saal se kam umr walon k liye behtar hoti hai."
Iske baraks, reader Ngohongson ne kaha:
"Zyada thankhwa k liye naukri tabdeel karna bilkul theek hai umr ki koi qaid nahi. Main 38 saal ka hoon aur ab tak teen companies mein kaam kar chuka hoon. Har job switch par meri salary barhti gayi. Main pehle aik aam employee tha, phir education aur development industry mein aaya aur ab account manager hoon. Job change karne se pehle planning zaroori hai. Aapko pata hona chahiye k aap ka agla professional goal kya hai? Agar leadership role mile to aap kaise handle karenge? Agar aap k paas sahi hunar aur mindset ho to 55 ya 60 saal mein bhi job switch karna aur aage barhna mushkil nahi."
Reader Andang ne likha:
"Log apni growth k liye aur apni value sabit karne k liye naukri tabdeel karte hain. Har job change ka matlab career change nahi hota, balkay apne hi field mein behtar role dhoondhna hota hai. Skills aur industry ka knowledge hona zaroori hai, lekin thoda sa luck bhi chahiye. Achi company aap ki value ko samjhegi. Dead-end job mein stuck rehna wafadari nahi, balkay zidd hai."
Agar aap tayyar hain naye skills seekhne k liye, apna vision clear hai, aur aap har challenge ko accept karte hain, to naukri tabdeel kar k zyada tanakhwa hasil karna mumkin hai chaahe aap 30 k hoon ya 60 ke.