UK ka Google par Qanooni Dabao
UK ki hukoomat ne Google Search par qanooni dabaav dalne ka faisla kiya hai taake uske market mein zyada control ko balance kiya ja sake. Competition and Markets Authority (CMA) jo k UK ka muqabla aur business fairness ka idara hai ne kaha k woh Google par kuch qawaid laagu karna chahta hai taake chhoti companies aur websites ko bhi barabar ka moka mil sake.
CMA ke mutabiq, Google ka search engine itna dominant ho chuka hai k dusri companies ko logon tak pohanchna mushkil ho gaya hai. Yeh bhi kaha gaya k Google apni position ka faida utha kar apne ads aur products ko zyada highlight karta hai, jab k dusri websites piche reh jaati hain.
Is silsile mein CMA ne Google ko aik "strategic market status" dene ka plan banaya hai iska matlab hai k Google par naya regulation lagaya jaayega jo uski services ko zyada transparent banayega.
Google ne abhi tak is faislay par koi tafseelat mein jawab nahi diya, lekin company ka kehna hai k woh CMA ke sath mil kar kaam karna chahti hai taake behtareen user experience aur fair competition dono ka khayaal rakha ja sake.
Yeh action digital dunia mein barhti hui taqat ko control karne ki koshishon ka hissa hai, jahan bari tech companies jaise Google, Apple, aur Meta ko zyada accountability ki taraf laya ja raha hai.