Uber aur Waymo ka Atlanta mein Self-Driving Rides ka Aaghaz

 

Atlanta, America ka ek bara sheher hai, ab self-driving yaani khud chalnay wali gaariyon ka ghar ban gaya hai. Uber ne Waymo k saath mil kar autonomous (self-driving) rides ka naya silsila shuru kar diya hai. Ab log Jaguar k electric vehicles mein bina driver k Uber ride le sakte hain!


Yeh rides Waymo Driver technology par mabni hain jo AI aur sensors ka istemal karke gaari chalatay hain na koi driver, na steering wheel chune ki zarurat.


Kis Tarah Kaam Karta Hai?


Uber app mein log as usual booking karte hain, lekin agar aap Waymo zone mein hain, toh aapko ek self-driving Jaguar I-PACE bheja ja sakta hai. Gaari aapke paas ayegi, darwaza khulega, aap bethenge aur AI aapko manzil tak le jayega.


Kahaan Kahaan Chal Rahi Hain?


Waymo ne pehle hi Austin, Phoenix, aur Los Angeles jaise shehron mein apni autonomous services launch ki hui hain. Atlanta iska naya addition hai.


Kya Ye Safe Hai?


Waymo keh raha hai k unki technology millions of miles ka tajurba hasil kar chuki hai. In gaariyon mein 360-degree cameras, radar, lidar aur AI systems lage hote hain jo traffic ka pura jaiza lete hain.


Uber aur Waymo Ki Partnership


Pehle Uber aur Waymo k darmiyan legal disputes thay, lekin ab dono companies future mobility mein mil kar kaam kar rahi hain. Unka kehna hai k


"yeh partnership transport ko asaan, mehfooz aur accessible banayegi."


Aakhri Baat


Self-driving rides ab sirf sci-fi ki baat nahi rahi. Atlanta ke log ab is technology ka hissa ban rahe hain. Dekhna yeh hai k yeh tech agay kis shehar mein launch hoti hai aur kya Pakistan mein bhi aisi services aanay wali hain?


//