Exchange Companies Ne FY2024-25 Mein $5 Billion Ki Tarseelat Ka Hissa Dala

 Pakistan ki foreign currency exchange companies ne maali saal 2024-25 k doran taqreeban $5 billion ki tarseelat contribute ki, jo k currency market ko stabilize karne mein aik aham qadam sabit hua. Sirf June k mahine mein hi, exchange companies ne $450 million banks ko farokht kiye, Exchange Companies Association of Pakistan (ECAP) k mutabiq.

ECAP k Secretary General Zafar Paracha ne State Bank of Pakistan k us faisle ko sahara jis mein exchange companies ko Pakistan Remittance Initiative (PRI) mein shamil kiya gaya hai. Unka kehna tha k yeh aik der se hone wala, lekin intehai aham qadam hai jo remittances ko formal channels k zariye laane mein madad karega aur mulk mein zyada foreign exchange lane ki taraf raghbat barhaye ga.

Paracha ne umeed ka izhar kiya k yeh faisla aglay saal FY2025-26 mein remittances ka aik naya record qaim kar sakta hai. Unho ne is baat ko bhi highlight kiya k hukumat ne exchange companies ko remittances per Rs22 per dollar ka incentive diya hai jo pehle sirf Rs2 tha aur yeh remittance volume mein bara izafa laa sakta hai.

Is week State Bank ne aik official circular bhi jari kiya hai jis mein exchange companies ko formally PRI k zail mein laaya gaya hai. Paracha ka andaza hai k sirf exchange companies k zariye remittances $5 billion tak pohanch gayi hain, lekin is data ka official confirmation abhi baqi hai.

Jab k June ki inflows ko shamil karne k baad total remittances ka andaza $38 billion tak lagaya ja raha hai, dosri taraf Pakistan ki exports ka performance kamzor raha. Exports mein sirf 6% ka izafa hua, jo k hukumat k $60 billion k target se kaafi kam hai.

Mazboot remittances ne trade deficit ka kuch hissa zaroor cover kiya, lekin is k bawajood Pakistani rupee ki qeemat mein kami dekhi gayi. FY2025 k doran rupee ne dollar k muqable mein kam az kam Rs5 ki girawat dekhi. 3 July ko interbank mein dollar ka rate Rs 284.06, jab k open market mein Rs 286.40 tha.

Duniya bhar mein bhi US dollar pressure mein hai, jis ki wajah se investors dosri currencies aur safe assets jaise k gold ki taraf rujhan kar rahe hain.

Ye sab tabdeeliyan is baat ka saboot hain k Pakistan ki economy mein remittances ka kirdar din ba din barhta ja raha hai khaas kar jab woh formal aur regulated channels k zariye aayein.


//