Seoul Ka Startup "Exiters" Ne AI K Zariye Vending Machine Ka Tareeqa Hi Badal Diya

 

Seoul k gyms mein ab AI ka istemal supplement aur workout gear bechne k tareeqay ko mukammal tor par badal raha hai.

Gym k members jab workout mukammal karte hain, to wo ab aik sleek aur smart vending machine k paas jate hain jo artificial intelligence par chalta hai. Jaise hi koi customer aik product uthata hai chahe wo protein drink ho, health supplement, ya gym accessory us item ka naam foran aik screen par nazar aata hai. Sirf chand taps k baad, purchase mukammal ho jata hai, bina kisi cashier k.

Gym owners k liye yeh sirf sahulat nahi, balke aik zabardast business tool bhi hai: yeh system real-time inventory ka pata lagata hai aur har purchase ki tafseelat ko analyze kar k marketing strategies ko behtar banane mein madad karta hai.

Is innovation k peeche hai aik Seoul-based startup, Exiters, jise lead kar rahe hain CEO Noh Jae-wook. November 2022 mein Exiters launch karne se pehle, Noh ne aik protein drink brand banaya tha jo national branding award jeet chuka tha, lekin COVID pandemic ki wajah se kabhi market mein launch nahi ho saka.

Noh kehte hain, "Mujhe sochna para k apna protein product kaise becha jaye. Main ne aik gym mein chhota fridge aur self-checkout kiosk lagaya, aur response itna acha tha k aik saal mein yeh system 1,000 gyms tak pohanch gaya."

Shuru mein yeh system customer ki honesty par depend karta tha. Lekin jaise jaise chori barhne lagi, inventory ka record accurate nahi raha. Isi challenge ne Noh ko AI ka rukh karne par majboor kiya. Unho ne aik aisa naya retail system develop kiya jo traditional cloud-based AI k mehngay aur complex tareeqay se bach kar kaam karta hai.

Noh kehte hain, "Zyada tar AI retail systems mein expensive sensors aur mushkil wiring hoti hai. Hamari innovation yeh hai k humne aik ultra-low-power on-device AI banaya jo bina server k products ko foran pehchan leta hai."

Is approach ne Exiters ko vending machines ka system sirf aik choti cost mein banane ka moka diya. Jahan traditional AI vending machines 7 se 8 million won (takreeban $5,500 se $6,300) ki hoti hain, Exiters ka pura system fridge samait sirf 1 million won (taqreeban $780) mein milta hai. Company har vending unit ki sales ka aik hissa apni income k tor par leti hai.

Filhal, Exiters k paas South Korea k 1,300 gyms mein exclusive distribution rights hain, jo aglay do saal tak jaari rahenge. Vending machines k ilawa, company ne aik aisa platform bhi banaya hai jo advertisers ko vendors se seedha connect karta hai, intermediaries k baghair aur ab tak 450 million won ki revenue hasil kar chuki hai.

Aage ka plan bhi kaafi ambitious hai. Noh kehte hain, "Hum apne AI system ko automated restocking platforms se connect karne ka plan bana rahe hain, aur product categories bhi expand karenge." Unka kehna hai k Japan, Hong Kong, Germany, America, aur Southeast Asia jaise ilaqon mein unmanned retail market ka size taqreeban 100 trillion won ($78 billion) hai aur unka sasta aur smart solution is market mein asani se compete kar sakta hai.

AI aur affordability k is unique combination k saath, Exiters na sirf gyms mein shopping ka tareeqa badal raha hai balke yeh innovation duniya bhar mein retail ka future bhi redefine kar sakti hai.


//