Hazrat Abbas Alamdaar (A.S.)
Wiladat Aur Bachpan
Hazrat Ali (A.S.) ne 24 Hijri mein Fatimah Bint-e-Huzam Ibn-e-Khalid (A.S.) se nikah farmaya. 7 Rajab 26 Hijri ko Hazrat Abbas (A.S.) ki paidaaish hui. 27 Hijri mein Jafar, 29 Hijri mein Usman, aur 32 Hijri mein Abdullah paida huy. In chaar beton ki maa hone ki wajah se Fatima Bint-e-Huzam ko "Ummul Baneen" (Beton ki Maa) kaha jaane laga.
Ummul Baneen (A.S.) ne jab se Hazrat Ali (A.S.) kay ghar mein qadam rakha, unho ne Bibi Fatima Zahra (S.A.) kay bachon Imam Hassan (A.S.), Imam Hussain (A.S.), Bibi Zainab (S.A.), aur Bibi Kulsoom (S.A.) ko hamesha izzat aur ta’zeem di. Apne bachon ko bhi yehi sikhaya kay inhein sirf bhai behen nahi, balki apne Aaqa aur Sayyid samjhein.
Jab Hazrat Abbas (A.S.) paida huy, to Hazrat Ali (A.S.) ne unhein apni baahon mein uthaya, chuma aur ro pade, Imam Hussain (A.S.) ne unke kaan mein azan aur iqaamat kahin. Jab Abbas (A.S.) Hussain (A.S.) ki baahon mein thy, to muskura kar apne haath utha diye. Hussain (A.S.) ki aankhon mein aansu thy… Shayad woh samajh gaye thy kay yeh bacha apni zindagi Hussain (A.S.) kay liye qurban karega.
Bachpan mein Abbas (A.S.), Imam Hussain (A.S.) kay saath saaye ki tarah rehte. Agar Imam ko pyaas lagti, to Abbas paani laate; agar garmi lagti, to apne chadar se hawa karte. 34 Hijri mein jung-e-Siffeen mein, sirf 8 saal ki umar mein, Abbas (A.S.) ne aik dushman ko qatal kar kay kaha:
"Kya koi mere Mawla par hamla kare jab mein zinda hoon!"
Muawiya ne jab dekha to pocha: "Yeh ladka kaun hai?" Jawaab mila: "Yeh Abbas ibn-e-Ali hai." Muawiya ne kaha:
"Ali ka beta hi aisi jung kar sakta hai is umr mein."
Jawaani
Hazrat Abbas (A.S.) aik lamba, shandar aur khoobsurat naujawan thy. Itna lamba qad kay jab ghode par sawar hote, to unke paon zameen ko chhoo lete. Unki shan aur jamal ki wajah se unhein "Qamar-e-Bani Hashim" (Bani Hashim ka Chand) kaha gaya.
Woh bepanah bahadur thy. Muawiya Madina par hamla nahi kar saka kyun kay wahan paanch mard thy jo Hussain (A.S.) kay saath mil kar fauj ko bhi shikast de sakte thy:
1. Muhammad Hanafia
2. Hazrat Muslim ibn-e-Aqeel (A.S.)
3. Abdullah ibn-e-Jafar (A.S.)
4. Hazrat Abbas (A.S.)
5. Imam Zain-ul-Abideen (A.S.)
Jab Imam Hussain (A.S.) ne Madina chhoda, to Ummul Baneen (A.S.) ne apne chaaron beto se kaha:
"Agar mere Mawla ya unke bache takleef mein aaye aur tum zinda raho, to mein tumhe kabhi maaf nahi karongi."
Hazrat Abbas (A.S.) ki aankhon mein aansu thy. Unho ne wada kiya:
"Maa, hum apni jaan Imam kay liye qurbaan kar denge."
Hazrat Abbas (A.S.) kay Laqab
1. Qamar-e-Bani Hashim – Apni khubsurti ki wajah se
2. Saqqa-e-Karbala – Bibi Sakina aur bachon kay liye paani lane wale
3. Hamil-ul-Liwaa – Imam Hussain kay lashkar kay alamdaar
4. Ra’ees-e-Askar-ul-Hussain – Imam Hussain (A.S.) kay lashkar kay sardar
Karbala Mein Aamad aur Shahadat
2 Muharram ko karwan Karbala pahuncha. Jab se Hazrat Muslim (A.S.) ki shahadat ki khabar mili thi, Abbas (A.S.) ne Imam ki hifazat aur zyada barhadi.
Bibi Sakina (A.S.), sirf 4 saal ki thi, Hazrat Abbas (A.S.) se bohat muhabbat karti thi. Jab paani chahiye hota, to bachay kehte:
"Ya Ammahu!" (O Chacha Abbas!)
Lekin 7 Muharram kay baad, paani khatam ho gaya. Abbas (A.S.) kuch kar nahi paaye.
Ashura Ka Din
Zuhr kay baad saare saathi shaheed ho gaye. Sirf teen log bache:
- Imam Hussain (A.S.)
- Hazrat Ali Akbar (A.S.)
- Hazrat Abbas (A.S.)
Abbas (A.S.) baar baar Imam se jung ki ijaazat maangte rahe, lekin Imam kehte:
"Abbas, tu meri fauj ka alamdar hai."
Jab Bibi Sakina (A.S.) ne sookhi mashk la kar kaha:
"Al Atash, Ya Ammahu!"
to Abbas (A.S.) ne ijazat maangi paani lane ki.
Imam ne kaha:
"Mujhe aik tohfa chahiye – apni talwar de do."
Abbas (A.S.) ne hukm bajalate huy talwar de di aur sirf bhala le kar nikal gaye.
Furaat Tak Rasai aur Shahadat
Abbas (A.S.) ne Furaat tak rasai hasil ki. Mashk bhari. Apni pyaas bhool gaye aur kaha:
"Sakina kay peene kay baad hi yeh paani mere liye halal hai."
Wapas aate waqt, dushmano ne dono haath kaat diye. Abbas (A.S.) ne mashk ko daanton mein daba liya. Aik teer aaya aur mashk phat gayi. Paani zameen par gir gaya.
Hazrat Abbas (A.S.) gir gaye, aankh mein teer tha. Jab girte huy kaha:
"Ya Mawla, Aap ko mera salaam!"
Imam Hussain (A.S.) Ka Gham
Imam Hussain (A.S.) bhaag kar aaye. Abbas (A.S.) ne kaha:
"Mawla, meri aankh se khoon saaf kar dein, aakhri baar aap ka chehra dekhna chahta hoon."
Phir kaha:
"Mere jism ko kheme mein na le jaayein, Sakina mujhe is haal mein na dekhe."
Hazrat Abbas (A.S.) ne jan de di. Imam ne unka mashk uthaya, kheme mein aaye aur Bibi Zainab (S.A.) ko alam diya.
Imam zameen par baith gaye. Bhai behan ne aza-e-Abbas kiya.