Pakistan k 3 Shehron Mein Naye Airports

 

Introduction

Pakistan Airports Authority (PAA) ne teen shehron mein naye airport banane ka faisla kar liya hai.


Hukoomi zaraye ke mutabiq, Mirpur (Azad Kashmir), Dera Ismail Khan, aur Hyderabad mein naye airports banaye ja rahe hain.


Iske ilawa Sukkur Airport ko mukammal tor par dobara tayar kiya ja raha hai taake yeh Sindh ke northern belt k liye ek regional hub ban sake.


Mirpur Aur Dera Ismail Khan


Mirpur airport k liye feasibility report takreeban mukammal ho chuki hai, jabke Dera Ismail Khan k naye airport k liye zameen hasil karne ka amal jaari hai Yeh project southern Khyber Pakhtunkhwa aur aas-paas k ilaqon mein purani connectivity problems ka hal banega.


Hyderabad mein commercial flight operations dobara shuru karne ka hukam diya gaya hai, aur aviation training school bhi banayi ja rahi hai taake iss field mein skills develop ki ja sakein.


National Assembly ko bhi Sukkur Airport k reconstruction plan par brief kiya gaya hai  jiska maqsad isay ek aham airport mein tabdeel karna hai.


Yeh tamam projects Pakistan k aviation infrastructure ko behtar banane ki koshish ka hissa hain. Inka design aur planning international consultants Japan aur Switzerland ke experts ke sath mil kar kiya ja raha hai.


//