Karbala Ka Paighaam: Haq Aur Sabr Ki Misaal
Karbala sirf aik waqia nahi, balkay Islam ki tareekh ka wo roshan sabaq hai jo har daur k musalmaan ko haq par qaim rehne aur sabr ka dars deta hai. Ye wo maidan tha jahan haq aur baatil ka aamna samna hua, jahan duniya ki daulat aur taqat ek taraf thi, aur Iman, usool aur wafadari doosri taraf.
Hazrat Imam Hussain (RA) ka maqam
Hazrat Imam Hussain (RA) Sayyid-ul-Shuhada, Nabi Pak ï·º k nawase jinnhon ne apni aur apne ghar walon ki qurbani de kar sabit kiya k Islam sirf lafzon ka deen nahi, balke qurbani ka tareeqa-e-hayat hai.
Unhon ne kufr, zulm aur nafrat k samne jhukne se inkaar kiya aur keh diya:
"Main maut ko zalil zindagi par tarjeeh deta hoon."
Karbala ka maidan: Imtihaan aur sabr
10 Muharram 61 Hijri ka din tha, jab Karbala k maidan mein sirf 72 afraad thay jo haq k liye lad rahe thay. Samne Yazeed ka lashkar tha 30 hazaar se zyada. Lekin Imam Hussain (RA) ne na sirf sabr ki misaal qaim ki, balkay haq ki himayat mein apna sab kuch Allah ke hawalay kar diya.
Yeh sirf jang nahi thi
Karbala mein jang nahi balke akhlaq, sabr, aur usool ki jeet thi. Imam Hussain (RA) ne paani band hone par bhi gussa nahi dikhaya. Apne 6 mahine k bete Ali Asghar (RA) k liye bhi unhon ne haath phelaaye lekin jawab mein teer mila. Phir bhi unhon ne Allah ki raza ko sab se ooncha rakha.
Karbala ka asli paighaam
- Haq k liye qadam uthana Chahe dushman kitna bhi taqatwar ho
- Zulm k samne khamoshi gunah hai
- Sabr sab se bara hathiyar hai
- Deen sirf ibadat nahi, amal ka naam hai
- Qurbani se hi Islam zinda rehta hai
Karbala se kya seekhein?
Aaj jab har taraf zulm, jhoot, aur na-insafi ka dor hai, to Karbala humein yaad dilata hai:
"Haq chhota ho ya bara, us par qaim rehna sab se bari jehad hai."
Agar hum apne zameer, deen aur akhlaq ko Yazeediyat se bacha lein to hum bhi Hussainiyat k raste par hain.
Karbala ka paighaam har musalmaan k liye ek roshni ka chiraagh hai. Imam Hussain (RA) ne humein sikhaya k zindagi ka asal maqsad sirf jeena nahi, balkay haq k liye jeena hai.
Aayein hum apni zindagi mein Hussain (RA) ka paighaam zinda rakhain nafrat k bajaye mohabbat zulm ke bajaye insaaf, aur khauf k bajaye sabr ka raasta ikhtiyar karein.