Pakistan Ki Economy Mein Behtari Kya Waqai Halat Sudhar Rahe Hain?
Aaj har taraf mehngai ka rona hai lekin hukoomat keh rahi hai k halat behtar ho rahe hain. Deputy Prime Minister aur Finance Minister Ishaq Dar ne kaha hai k:
"Inflation neeche aayi hai aur foreign reserves ab $14.5 billion tak pohanch chuke hain."
Lekin sawal yeh hai kya aam aadmi ko bhi yeh behtari mehsoos ho rahi hai?
Mehngai Kam Hui Hai?
Hukoomat k mutabiq kuch cheezon ki qeemat waqai neeche aayi hai:
- Petrol ki price stable hui hai
- Daalon aur sabziyon mein kuch kami aayi hai
- Dollar ka rate control mein hai
Lekin bazar jaane wale log kehte hain:
“Rate list pe kuch aur hota hai, dukaan pe kuch aur.”
Dollar Reserves Barh Gaye
Pakistan k paas foreign currency reserves ab $14.5 billion tak pohanch gaye hain. Iska matlab:
- IMF ka trust barh raha hai
- International investors ka interest aa raha hai
- Currency thodi stable ho sakti hai
Magar yeh reserves loans aur friendly countries ki help se aaye hain to yeh temporary sukoon hai, permanent solution nahi.
Stock Market Aur Business Confidence
Stock market mein bhi thodi halchal hai log invest kar rahe hain. Business environment improve ho raha hai, lekin:
- Electricity bills ab bhi high hain
- Tax system complex hai
- Youth unemployment ka issue abhi bhi zinda hai
Logon Ka Reaction
Social media par mixed reactions hain:
Kuch log keh rahe hain: “At least kuch to positive horaha hai.”
Doosre keh rahe hain: “Sirf numbers improve hue hain zindagi nahi.”
Conclusion
Haqeeqat yeh hai k economy ki kuch cheezen waqai Behter ho rahi hain lekin asli change tabhi hoga jab aam aadmi ko jeb halka na mehsoos ho. Jab roti daal bijli aur petrol sab manageable ho jayein, tab kehna asaan hoga:
“Haan, ab economy behtar hui hai.”