WhatsApp Mein Naya Feature: Ab App K Zariye Direct Document Scan Karna Mumkin
WhatsApp ne aik naya feature introduce kiya hai jo sarfin ko apne phone ki camera se seedha documents scan karne ki sahulat dega bina kisi alag scanning app ki zarurat k. Yeh feature WhatsApp k latest Android beta version 2.25.19.21 ka hissa hai aur filhal kuch selected beta testers k liye hi Google Play Store par available hai.
“Scan Document” Ka Naya Option
Jab aap WhatsApp par kisi ko document share karne ki koshish karte hain, to ab aik naya button nazar aata hai jiska naam hai “Scan Document”. Is button ko tap karte hi camera khul jata hai aur aik live preview screen par dikhai deta hai. Is preview se aap asani se paper ko sahi alignment mein la sakte hain taake clear aur high-quality scan hasil ho sake.
Do Modes: Automatic Aur Manual
Jab document sahi position mein ajata hai, to aap k paas do options hote hain:
- Automatic Mode: Jab document camera mein theek se visible aur aligned hota hai, to camera khud ba khud photo le leta hai. Yeh tareeqa fast aur asaan hai.
- Manual Mode: Agar roshni kam ho ya document angle se theek nazar na aa raha ho, to aap khud se photo le sakte hain. Yeh mode zyada control deta hai framing aur lighting par.
Kya Is Feature Ka Faida Hai?
Yeh feature un logon k liye bohat mufeed hai jo roz marra mein scanned documents bhejte hain jaise k:
- ID cards
- Receipts
- Forms
- Ya handwritten notes
Ab sab kuch WhatsApp k andar hi ho jata hai, is se waqt ki bachat hoti hai aur process bhi zyada smooth ban jata hai.
Abhi Sirf Beta Users K Liye
Filhal yeh feature sirf beta testers k liye available hai, lekin agar testing successfully complete ho gayi, to jaldi hi yeh sab users k liye roll out kiya ja sakta hai.
Agar aap WhatsApp par document scanning k liye dosri apps use karte hain, to tayar ho jayein kiyun k WhatsApp khud yeh kaam karne wala hai!