State Bank Ne Officers Training Scheme 2025 K Liye Naukriyon Ka Ailan Kar Diya

 State Bank of Pakistan (SBP) ne apni mashhoor Officers Training Scheme (OTS) 2025 k liye applications officially open kar di hain. Yeh scheme har saal ki tarah is dafa bhi mulk bhar k talented graduates ko central banking sector mein entry-level positions ka moka de rahi hai.

Kin Candidates Ko Apply Karna Chahiye?

Is bar SBP un afrad ko invite kar raha hai jinhon ne Master’s ya 16 saal ki taleem k saath Bachelor’s degree mukammal ki ho khaas kar in fields mein:

  • Economics
  • Finance
  • Business Administration
  • Public Policy
  • Ya kisi related field mein

Fresh graduates aur wo professionals jinki age 26 saal se kam ho (as of application deadline), unko khas tor par apply karne ka mashwara diya gaya hai.

Training Kaise Hoti Hai?

OTS program apne structured training model k liye mashhoor hai. Is scheme k zariye select hone wale candidates ko banking regulation, monetary policy, financial markets, aur economic research jese areas mein zaroori skills aur knowledge di jati hai.

Selection Process

  • Sab se pehle candidates ka initial shortlisting hoga
  • Uske baad aik written test liya jaye ga
  • Phir panel interviews honge
  • Final selection k baad, candidates ko National Institute of Banking and Finance (NIBAF), Islamabad mein training di jaye gi
  • Training complete hone k baad, unhein SBP k mukhtalif departments ya regional offices mein post kiya jaye ga

SBP Ka Vision

Yeh recruitment drive SBP k us vision ka hissa hai jahan woh banking sector k future leaders ko tarbiyat dena chahta hai. Bank ka kehna hai k woh motivated aur talented afrad ko team ka hissa bana kar mulk ki maashi taraqqi aur financial stability mein behtari lana chahta hai.

Apply Karne Ka Tareeqa

Jo log interested hain, woh SBP Careers Portal k zariye closing date se pehle apni application submit kar saken ge.

Yeh moka un sab nojawano k liye aik behtareen career ki taraf pehla qadam sabit ho sakta hai jo central banking ki field mein apna mustaqbil banana chahte hain.


//