Bus Collision In Afghanistan Kills 79 Returning Migrants From Iran

 

Afghanistan kay maghribi soobay Herat mein aik dehshatnaak traffic hadse mein kam az kam 79 log jan bahaq ho gaye, jin mein 19 bachay bhi shamil hain. Yeh hadsa us waqt hua jab Iran se deport hone wale Afghan migrants ko lay jaane wali bus aik truck aur motorcycle se takra gayi.

Yeh tasadum Mangal ki shaam Herat soobay mein hua. Tolo News kay mutabiq, tasadum kay baad bus mein aag lag gayi jis se zyada tar log moqa par hi jaan se gaye. Waqia mein do afrad zakhmi bhi hue, jinka ilaj jaari hai. Interior ministry kay spokesman Abdul Mateen Qani ne iski tasdeeq ki hai.

Provincial afsar Ahmadullah Muttaqi ne X (pehlay Twitter) par aik video share ki jis mein jalti hui bus ka manzar dekha ja sakta hai. Magar Euronews ne is video ki mustaqil tasdeeq nahi ki.

Afghanistan mein traffic hadse aam hain, jinka sabab aksar kharab roads aur traffic qawaneen ka na hona hota hai. Magar ye hadsa chand salon mein sab se shadeed tasadumon mein se aik mana ja raha hai.

Mutaliqa suratehaal:

Dahaiyon se jang, ghurbat aur Taliban hukumat se bach kar Iran aur Pakistan jane wale lakhon Afghani logon ko ab wapas bheja ja raha hai. Taliban ne July mein humsaya mumalik (khas tor par Iran aur Pakistan) par tanqeed ki kay woh Afghaniyon ko zabardasti nikal rahe hain.

Tehran aur Islamabad ne ilzam rad karty hue kaha kay woh sirf illegal afrad ko deport kar rahe hain.

Iran se pichlay chand mahino mein taqreeban 1.8 million Afghans wapas bhejay gaye hain. Pakistan se bhi 1,84,459 aur Turkey se 5,000 se zyada Afghani 2025 kay aghaz se ab tak deport kiye gaye hain.

Iske ilawa, taqreeban 10,000 Afghan qaidiyon ko bhi wapas Afghanistan bheja gaya hai, zyadatar Pakistan se.

Afghanistan kay Ministry of Refugees and Repatriation kay mutabiq, ab bhi taqreeban 60 lakh Afghani refugees duniya kay mukhtalif mulkon mein mojood hain.


Previous Post Next Post
⚠️ WELLCOME TO MY AFFAILIATE SHOP JUST CLICK.
👉 LATEST DEALS DEKHEIN