Khyber Pakhtunkhwa mein tabah kun selabi surat-e-haal kay baad halakaton ki tadaad taqreeban 400 tak pohanch gayi hai. Pichlay paanch dino se musalsal monsoon ki tez barishon ne landslides, flash floods aur wasee tabahi ka sabab bana diya hai.
National Disaster Management Authority (NDMA) kay afsaroon ne tasdeeq ki hai kay sirf Khyber Pakhtunkhwa mein ab tak kam az kam 356 log jan bahaq ho chuke hain, jabke qarib ilaqon se mazeed halakaton ki ittilaayen bhi mil rahi hain, jis se mulk bhar ka kul death toll aur barh gaya hai.
Rescue teams aur maqami log Dalori jese ilaqon mein mitti, malbay aur giray huay gharon mein ghayab afrad ki talaash aur madad mein masroof hain. Bachi howi abadi apne pyaron ka gham mana rahi hai aur un logon kay liye dua kar rahi hai jo abhi tak malbe kay neeche phassay huay hain.
Selab ne buniyadi infrastructure ko bhi nuksaan pohanchaya hai raste band ho gaye hain aur affected ilaqon mein phone signals bhi kat gaye hain, jis wajah se rescue aur relief operations mein sakht rukawat aa rahi hai.
Is kay ilawa, Pakistan kay junubi ilaqe jaise Karachi, Sindh aur Balochistan kay kai districts mein bhi tez barish ka silsila shuru ho gaya hai, jisse shehri selabi surat-e-haal aur kamzor infrastructure kay mazeed nuksaan ka khauf paida ho gaya hai.
Hukamranon ne warning di hai kay barish ka silsila Saturday tak jaari rehne ka imkaan hai aur is mahine kay aakhir mein aik aur taqatwar barish ka silsila anay ka khatra hai. Pakistan abhi bhi climate change ki wajah se hone wali monsoon afaat kay liye nihayat nazuk surat-e-haal mein hai.