Pakistan Telecommunication Authority (PTA) ne Jazz par lagaye gaye overbilling kay ilzamat ko bilkul be-buniyad aur ghalat qarar dete huy rad kar diya hai. Yeh dawa kiya gaya tha kay Jazz ne 2023-24 kay dauran apne customers se 6.58 billion rupay se zyada charge kiye, magar PTA ne is report ko “misleading” aur “propaganda campaign” kaha hai.
PTA Ka Wazeh Jawab PM Office Ko
Zaraye kay mutabiq, PTA ne Prime Minister’s Office ko aik tafseelat par mabni jawab diya hai, jis mein yeh tasdeeq ki gayi kay koi unauthorized billing nahi hui. PTA ka kehna hai kay Jazz ne jitne bhi tariff changes kiye woh approved framework kay mutabiq thy aur regular verification ka hissa bhi bane.
Social Media Reports Ko Propaganda Qarar Diya
PTA ne apni clarification mein kaha kay social media par jo reports share ki gayi hain woh ghalat tafseer par mabni hain aur unka maqsad sirf regulator kay monitoring system ko badnaam karna hai. Report mein likha gaya:
"Har tariff change ko pehle se approve kiya jata hai. Kisi bhi tareeqay se approved structure ki khilaf warzi nahi hui."
Audit Observations Se Mamla Samnay Aaya
Halaankeh PTA ne in ilzamat ko rad kar diya hai lekin yeh mamla tab ubhar kar samne aaya jab aik audit report mein yeh bataya gaya kay Jazz ne Rs. 6.58 billion ki alleged overbilling ki. Audit ne quarterly tariff increases par bhi sawal uthaye, yeh keh kar kay kuch collections ne PTA ki 15% limit ko cross kiya.
Senate Standing Committee Ka Notice
Ab yeh issue Senate Standing Committee on IT & Telecommunication kay samne bhi pesh ho gaya hai. Committee ki chairman Senator Palwasha Khan ne PTA chairman ko 25 August ko talab kiya hai. Ijlas mein yeh umeed ki ja rahi hai kay members regulator se monitoring system, consumer protection, aur tariff approval process par tafseelat talab karenge.
Jabke PTA ne tamam ilzamat ko ghalat qarar diya hai, magar audit kay observations aur Senate Committee kay involvement kay bawajood, yeh mamla ab bhi tawajjo ka markaz bana hua hai. Aane wale dinon mein is par mazeed roshni daali ja sakti hai jab PTA chairman Committee kay samne jawab dega.