Tehreek-e-Tahafuz-e-Aayeen-e-Pakistan (TTAP) ne itwaar kay din PTI kay baani aur sabiq wazir-e-azam Imran Khan kay do bhatijon ki giraftari ki sakht muzammat ki hai aur isay siyasi intiqam qarar diya hai.
TTAP kay tarsuman Akhunzada Hussain Yousafzai ne, jo Imran Khan kay wakeel Khalid Yousuf Chaudhry kay sath thy, Imran Khan ki behan Aleema Khan se mulaqat ki aur unke gharane kay sath izhar-e-yakjehti kiya.
Mulaqat kay dauran giraftari se mutaliq kanooni pehluon par tafseeli guftagu ki gayi. Yousafzai ne hukoomat par tanqeed kartay huy kaha kay aise iqdamat sirf Imran Khan kay khandan ko zehni aziyat dene kay liye kiye ja rahe hain. Unka kehna tha kay siyasi rehnumaon kay qareebi rishteydaron ko nishana banana dikhata hai kay hukoomat apne mukhalifin kay khilaf kis had tak ja sakti hai.
Yousafzai ne yeh bhi kaha kay Aleema Khan kay beton ki giraftari insaaf aur bunyadi insani huqooq ki khuli khilaaf warzi hai. Unhon ne ilzam lagaya kay hukoomat riyasati idaron ka ghalat istemal kar rahi hai taake siyasi dushmano par dabao daala ja sake, bajaye iske kay mulk kay asal masail ka hal nikaala jaye.
TTAP kay tarsuman ne dono naujawano ki foran aur be-shart rihaai ka mutaliba kiya. Unka kehna tha kay aise iqdamat awaam mein narazgi barhane aur siyasi adam mustehkami mein izafay ka sabab banenge.