Turkey Wedding Celebration Ends In Death As Groom Shot By In-Law

 

Turkey kay shehri ilaqay mein aik naujawan dulha apni shaadi kay din goli lagne se jaan se chala gaya, jiska ilzaam uski saali par lagaya ja raha hai. Yeh waqia Turkiye kay northern hissay, Turpçu gaon, zila Şebinkarahisar mein hua.

Shaadi kay baad jab naya joda ghar wapas ja raha tha to 23 saal ka dulha, jiska naam Ali K. bataya gaya hai, goli lagne se shadeed zakhmi ho gaya. Anadolu news agency kay mutabiq, is waqiay ka zimma dulhe ki 47 saal ki saali par aaya hai, jise baad mein police ne giraftar kar liya. Police ne us kay bagh se do ghair-lisensed pistolen bhi baramad ki hain.

Emergency services foran waqiay ki jagah pohnchein aur Ali K. ko jaldi se Şebinkarahisar State Hospital le jaya gaya magar doctoron ki purkoshish kay bawajood uski jaan na bachayi ja saki.

Is waqiay kay baad maqami hukamranon ne tahqiqat ka aaghaz kar diya hai.

Turkey mein shaadiyon par fakhri firing ka aam rivaaj

Turkey kay northern Black Sea region mein shaadiyon kay doran hawa mein firing ka rivaaj kafi purana hai. Sirf pichle hafte, Trabzon province mein aik aur shadi se pehle fakhri firing kay doran aik shakhs halaak aur do log zakhmi ho gaye thy.

Is waqiay kay baad shaadi ka function cancel kar diya gaya aur do afraad, jin mein se aik police afsar bhi tha, giraftar kiye gaye.

2018 mein bhi aik afsosnaak waqia hua tha jab aik doctor ne galti se khud ko goli maar di. Yeh waqia Turkey kay shehar Konya kay qareebi ilaqay Kozagac mein hua.

Doctor ne ghalti se khud ko maar liya

Hasan Akdemir, 39 saal kay GP (General Physician), aik shaadi kay doran handgun se hawa mein firing kar rahy thy. Jab bandook sahi se fire nahi kar rahi thi to unhon ne use check karne kay liye utha liya.

Gawah ka kehna hai kay jaise hi unhon ne bandook ko check karne kay liye uthaya, us waqt goli chal gayi aur woh goli seedha unke sir mein lagi. Unhe foran ambulance kay zariye Atasehir State Hospital le jaya gaya magar doctoron ki koshishen kamyab na ho saki.

Konya, jo Turkey ka saatwan bara shehar hai, aik tezi se taraqqi karta hua shehar hai aur isay ‘boomer city’ kehlaya jata hai Turkey kay taraqqi yafta shehron mein.


Previous Post Next Post
⚠️ WELLCOME TO MY AFFAILIATE SHOP JUST CLICK.
👉 LATEST DEALS DEKHEIN