Law Student Leticia Paul Dies At 22 After Rare Medical Reaction

Brazil kay shehar Rio do Sul mein aik 22 saal ki law student, Leticia Paul, aik mamooli medical procedure kay dauran severe allergic reaction ka shikar ho gayi, jiske baad unki maut ho gayi. Yeh waqia Alto Valle Regional Hospital mein us waqt hua jab woh aik contrast-enhanced CT scan kay liye gayi hui thi.

Local media reports kay mutabiq, Leticia ko scan se pehle jo fluid (contrast dye) inject kiya gaya tha, usi se unhein anaphylactic shock hua jo kay aik jaan-lewa allergic reaction hoti hai. Doctors ne foran unhein intubate kiya lekin wo is procedure kay baad 24 ghante se pehle hi inteqal kar gayi.

Unki khala Sandra Paul ne Brazilian news outlet G1 ko bataya kay Leticia ko kidney stones ka masla tha aur isi silsile mein unka CT scan ho raha tha. CT scan aik aisa process hota hai jis mein X-rays aur computer processing kay zariye jism kay andar ki detailed images banai jati hain.

Leticia ne haali mein Colegio Sinodal Ruy Barbosa se law degree hasil ki thi aur ab woh Law aur Real Estate mein post graduate studies kar rahi thi, jaisa kay Oeste SC Noticias ne report kiya.

Unki alma mater ne aik bayaan mein kaha:
“Hum unke khandan aur doston kay saath gham mein shareek hain aur unko is mushkil waqt mein tasalli aur himmat ki duain dete hain.”

Hospital Ka Jawab

Alto Valle Regional Hospital ne bhi Leticia ki wafat par afsos ka izhar kartay huy kaha:

“Hum is nuqsan par afsos ka izhar kartay hain aur khandan kay saath hamdardi ka izhar kartay hain. Saath hi hum apni commitment ko ethics, transparency, aur healthcare safety kay liye dohrate hain. Har medical procedure ko clinical protocols kay mutabiq anjam diya jata hai.”

Contrast Dye Se Reaction – Kitna Aam Hai?

Medical scans jaise kay CT scan, MRI, ya X-ray mein iodinated contrast dye ka istemal aam hota hai taake jism kay organs aur tissues zyada clearly nazar aayein. Ye chemical zyada tar logon kay liye bilkul mehfooz hota hai lekin 1 in 5,000 se le kar 1 in 10,000 cases mein severe allergic reaction hone ka risk hota hai.

Aksar logon ko sirf halka bukhar, ghabrahat, ya kharish jaisi mild symptoms hote hain jab unhein yeh dye diya jata hai.

Leticia ki maut ne logon ko hila kay rakh diya hai aur ab log medical safety aur allergic risks kay bare mein zyada aware hone ki zarurat mehsoos kar rahe hain.


Previous Post Next Post
⚠️ WELLCOME TO MY AFFAILIATE SHOP JUST CLICK.
👉 LATEST DEALS DEKHEIN