Garmiyon Mein Nariyal Ka Pani Ya Ganne Ka Ras – Kon Sa Behtar Hai?
Nariyal ka pani aik qudrati electrolyte ka zariya hai jo hydration, jism ke siyal tawazan, aur jild ki sehat mein madadgar hai. Ye khas tor par un logon ke liye faida mand hai jo diarrhea, heatstroke, ya vomiting ka shikar hain.
- 240ml nariyal ke pani mein takreeban 46 calories aur 10 grams qudrati cheeni hoti hai.
- Ye protein aur fat mein low hota hai, magar potassium zyada hota hai.
Nuksan: Agar zyada piya jaye to potassium zyada ho kar blood pressure kam, electrolyte imbalance, aur kidney par asar daal sakta hai. Diabetic aur kidney issues walon ko ise mehdood rakhna chahiye.
Ganne Ka Ras – Zyada Meetha, Zyada Tawanai
Ganne ke ras mein qudrati cheeni zyada hoti hai jo thakan door karne aur tawanai ko farog dene mein madad karta hai. Ye vitamins aur nutrients se bharpoor hota hai.
- 240ml ganne ke ras mein lagbhag 183 calories aur 50 grams cheeni hoti hai.
Nuksan: Rozana istemal se weight gain ho sakta hai, khas tor par agar exercise na ki jaye. Diabetic, motape ka shikar, buzurg, bachay, aur pregnant women ko ise mehdood miqdaar mein lena chahiye.
Immunity Barhane Ke Liye Kya Behtar Hai?
Agar aap wazan barhaye baghair immunity barhana chahte hain, to:Nariyal Ka Pani Aur Ganne Ka Ras: Taro Taza Magar Hadh Mein
Dono coconut water (nariyal ka pani) aur sugarcane juice (ganne ka ras) garmiyon mein tazgi waly mashrobat ke tor par mashhoor hain. Ye sehat ke liye mufeed ho sakty hain, lekin ye pani ka badal nahi ban sakty aur inhen mehdood miqdaar mein hi lena chahiye.
Nariyal Ka Pani – Kam Calories, Zyada Electrolytes
- Nariyal ka pani ganne ke ras se behtar intakhab hai
- Sath hi malta, amrud, passion fruit, aur tarbooz ke ras ko bhi apne diet mein shamil karen. Ye vitamins aur antioxidants se bharpoor hote hain jo immunity ko support karte hain.
Nateeja:
Agar aap ko kam calories, kam meethas, aur hydration chahiye, to nariyal ka pani ganne ke ras se behtar hai. Magar dono mashrobat ko miqdaar mein rakhna zaroori hai, aur kisi bhi halat mein pani ka badal nahi banana chahiye.