Malir Jail Se 200 Se Zyada Qaidi Farar, Zalzale Ke Baad Hungama – 78 Dobara Pakray Gaye

 

Malir District Jail mein aik bari security ki khilaf warzi us waqt samne aayi jab zalzale k baad paida hone wali afra-tafri k doran 200 se zyada qaidiyon ne farar hone mein kamiyabi hasil ki. Sindh k Inspector General Police Ghulam Nabi Memon k mutabiq, ab tak 78 farar qaidiyon ko dobara giraftar kiya ja chuka hai, jabke search operation abhi bhi jari hai.

Zalzale k baad jail intazamiyan ne taqreeban 2,000 qaidiyon ko unke barak se nikal kar aik khuli jagah par le jaya, taake headcount ki ja sake. Isi doran, kuch qaidiyon ne bhaagne ki koshish ki aur Frontier Constabulary (FC) k hawai firing k bawajood jail ki deewarein cross karne mein kamiyab ho gaye. Total 213 qaidiyon k farar hone ki tasdeeq ki gayi hai.

Waqia k doran qaidiyon ne jail guards se tasadum kiya, kuch ne hathiyar bhi cheen liye aur firing ki. Is hungamay mein aik qaidi halaak aur paanch zakhmi huy, jabke FC k teen afrad bhi zakhmi huy jinhen aik private hospital muntaqil kiya gaya.

Fauj aur police ne mil kar shehar bhar mein operation shuru kiya aur ab tak 73 farar qaidiyon ko mukhtalif ilaqon se giraftar kiya gaya hai. Iske ilawa 9 dusre mushtaba afrad ko bhi hirasat mein liya gaya hai.

Sindh k Chief Minister Murad Ali Shah ne is waqia par kafi gham-o-gussa ka izhar karte huy kaha k qaidiyon ko khuli jagah par lana “galat faisla” tha. Unhon ne aik tahqiqat committee banane ka hukum diya hai jo is waqiah k zimmedaron ka taayun karegi aur zimmedar afrad k khilaf karwai ki jayegi.

Dusri taraf, Sindh k Home Minister Ziaul Hassan Lanjar ne jail ka daura kiya, jail mein mukammal search operation ka hukum diya aur kaha k har district mein surveillance aur intelligence system mazid behtar banaya jaye. Unhon ne Karachi bhar mein security tight karne, ilaqe ko seal karne aur patrols barhane k liye bhi hidayat di.

Zalzale k doran jail ki deewar mein daraarain aayi jinhon ne qaidiyon k farar ka raasta khol diya. Malir k SSP k mutabiq aik deewar tamam tor par gir gayi thi. Security forces ne jail k aas paas k ilaqe ko gher liya hai, National Highway k dono taraf traffic band kar diya gaya hai, aur shehar bhar mein rukawten laga kar qaidiyon ki talash jari hai.

//