Iran Ab Kai “Chand” Nuclear Bombs Bana Sakta Hai, IAEA Ka Khaufnaak Inkishaaf

 

Iran ne apni uranium ki zakhira andozi ko mazeed barha diya hai, jo ab taqreeban hathyaar banane kay qabil ho chuki hai. International Atomic Energy Agency (IAEA) kay mutabiq, Tehran ab “kai” nuclear bombs tayar karne ki salahiyat rakhta hai.

Vienna mein waqeh agency ki taaza report kay mutabik, 17 May tak Iran kay paas 408.6 kilogram uranium mojood tha jo 60% purity tak enriched hai — jo kay February se 133.8 kilogram zyada hai. IAEA kay director Rafael Mariano Grossi ne kaha hai kay ye uranium ki mikdaar Iran ko chand atomic bombs banane kay liye kafi hai.

Aik doosri IAEA report mein ye bhi bataya gaya kay kuch aise maqamat par uranium kay asaar milay hain jinhain Iran ne duniya se chupaya tha. Ye is baat ka saboot ho sakta hai kay wahan chhup kar nuclear test kiye gaye hain.

Ye inkishaafat maghribi mumalik ko aik baar phir Iran par wo iqtasadi pabandiyan lagane par majboor kar sakti hain jo 2015 mein uthaye gaye thay jab Iran ne nuclear program ko limit karne ka wada kiya tha.

Is dauran Washington aur Tehran kay darmiyan naye nuclear muahide par ab tak kisi hatmi faislay tak nahi pohncha ja saka.


//