Visa Restrictions K Bawajood 1.35 Lakh Pakistanion Ne Panah K Liye Darkhwast Di
Aik Senate committee ko ittila di gayi k guzishta do saalon mein 135,000 Pakistanion ne Europe or America mein panah k liye darkhwast di. In mein se 125,000 ne mukhtalif European mumalik mein panah ki talab ki, jab k 10,000 se zyada ne America mein panah ki darkhwast di. Ye maloomat Director General of Passports ne Senator Zeeshan Khanzada ki sadarat mein hone waly ijlaas mein di.
DG Passports ne ye bhi bataya k isi arsay k dauran 52,000 se zyada Pakistanion ko wapas bheja gaya. Iran ne 34,000 Pakistanion ko illegal tor par dakhil hone par deport kiya, jab k Saudi Arabia ne 5,000 Pakistanion ko bhikh mangne mein mulawis paa kar nikaal diya. Sath hi, Saudi Arabia ne Pakistanion k liye work visa kota mein kami kar di hai or visa sharaait ko bhi sakht bana diya hai.
Mukhtalif officials ne committee ko bataya k UAE, Italy, or UK ne Pakistani students k liye visa programs muattal kar diye hain. Aksar Pakistanio ko Passport Act k taht foran mulk wapas bheja ja raha hai taake lambi kanoni karwai se bachaa ja sake. Deport hone walon k passports block kar diye gaye hain or jo log crimes mein mulawis paaye gaye un k khilaf sakht sazayein lagai gayi hain.
In mushkilat k bawajood, officials ne ye bhi wazahat ki k 10.3 million se zyada Hunarmand or Peshah war Pakistani ab bhi duniya bhar mein kaam kar rahe hain. Unki bheji gayi tarselaat mulk ki maashi surat-e-haal mein aham kirdar ada kar rahi hain. Ye sabit karta hai k Pakistanion ki duniya bhar ki workforce mein ab bhi bari ahmiyat hai, chahe visa restrictions ka samna kiyun na ho.
Senate committee ki report ne is baat par zor diya k hijrat k is rujhan ko rokne k liye fauran nayi palisiyan banani chahiye or mulk k andar behtari laani chahiye taake log majbooran panah dhoondne par majboor na hon.