Microsoft Ne Pakistan Mein 25 Saal Baad Apne Operations Band Kar Diye

 

Microsoft ne 25 saal baad Pakistan mein apne tamam operations band karne ka faisla kar liya hai, jiska ailan halya media reports k zariye samne aaya hai. Yeh faisla us global layoff policy ka hissa hai jisme tech giant ne taqreeban 9,100 mulazmeen ko nikal diya tha jo k uski total workforce ka taqreeban 4% hai.

Pakistan Mein Kabhi Corporate Office Nahin Tha

Microsoft ne kabhi Pakistan mein aik mukammal corporate office to establish nahi kiya, lekin woh yahan liaison (raabta) offices k zariye enterprise, education, aur government sectors mein kaam kar raha tha. Ab yeh offices bhi band kiye ja rahe hain.

Siyasi Adam Mustehkami Ne Mauka China Diya

Pakistan k sabiq sadar Arif Alvi ne is faislay ko mulk k mustaqbil k liye aik khaufnak ishara qarar diya hai. Unka kehna tha k Microsoft ne aik waqt Pakistan mein bade investment plans ka socha tha, lekin siyasi bechaini aur regime change ki wajah se unhon ne 2022 mein apna focus Vietnam ki taraf modh liya.

Arif Alvi ne kaha k is mauka ka khona us trend ka hissa hai jahan international tech companies Pakistan se door hoti ja rahi hain.

“Sirf Business Faisla Nahin”: Jawwad Rehman

Microsoft Pakistan k sabiq country manager, Jawwad Rehman, ne kaha k yeh sirf aik business decision nahi hai, balke yeh is baat ka saboot hai k Pakistan ka mahol aisa ho gaya hai jahan badi multinationals k liye kaam karna mushkil hota ja raha hai. Tech maharreen ka kehna hai k Microsoft ne pehle hi apni Pakistani workforce mein kami kar di thi aur ab zyada tar operations Turkey aur Ireland se chala raha tha.

IT Ministry Ka Wazahat Nama

IT Ministry ne is development par response dete huy kaha k Microsoft ka yeh qadam uski global strategy ka hissa hai jisme company ne "partner-led, cloud-first" model adopt kiya hai. Ministry ne bataya k Microsoft ne software licensing aur services ko kuch arsay se Ireland k European hub mein shift kar diya tha, aur ab woh apne local liaison office ka bhi review kar raha hai.

Poori Tarah Se Withdrawal Nahin

Hukoomat ne yeh wazeh kiya hai k Microsoft ka yeh qadam Pakistan se mukammal withdrawal nahi hai. Woh ab bhi Microsoft k global teams k saath kaam jaari rakhne ka irada rakhti hai, taake kisi had tak rabta barqarar rahe. Magar is development ne mulk mein job losses, tech industry ki sakut, aur foreign investment k hawalay se shiddat se concern paida kar diya hai.

Yeh haqeeqat k aaine mein aik kashmakash hai: kya Pakistan international tech companies k liye aik sustainable aur profitable market reh sakta hai?


//