Pakistan ki senior aur maqbool adakara Asma Abbas ka WhatsApp account hack ho gaya hai, jiska inkishaaf itwaar kay din hua.
Unki behen aur legend adakara Bushra Ansari ne Instagram par aik screenshot share kiya jis mein Asma Abbas kay number se bheje gaye paise maangne wale messages nazar aa rahe hain.
Bushra Ansari ne post mein likha:
“Barah-e-karam aise messages par yaqeen na karein.”
Jo screenshot unhon ne share kiya, usme hacker Asma Abbas ka naam istimaal kartay huy Ibrahim naam kay shakhs se 10 lakh rupay udhaar maang raha tha.
Asma Abbas Ka Video Pegham
Is waqiay kay baad, Asma Abbas ne bhi Instagram par aik video post kiya jis mein unho ne kaha:
“Mere number se kai logon ko paise maangne wale messages bheje ja rahe hain. Barah-e-karam aise messages ko ignore karein.”
Unho ne kaha kay aaj kal yeh fraud Pakistan mein aam hota ja raha hai jahan logon kay WhatsApp accounts hack kar kay unke doston aur rishtedaron se paise talab kiye jaate hain.
Asma Abbas ne afsos ka izhar kartay huy kaha:
“Mere doston aur pyaron ko is waqiay se takleef hui hai, jiske liye main maafi chahti hoon.”
Hacking Ka Tareeqa – Kaise Hua Fraud?
Asma Abbas ne wazahat ki kay unhein aik call aayi jis mein kaha gaya kay unka parcel pohanch gaya hai. Caller ne unse kaha kay WhatsApp par bheja gaya aik code woh share karein.
Asma Abbas ne socha kay unki beti Zara ne kuch din pehle kuch bheja tha aur barishon ki wajah se parcel delay ho gaya hoga is liye unhon ne woh code share kar diya.
Unka kehna tha:
“Jaise hi maine woh code diya, mera WhatsApp hack ho gaya.”
Unho ne logon ko mutanabbeh kiya kay is tarah kay frauds se hamesha hoshiyar rahen aur kisi bhi anjaan number ya call par WhatsApp codes share na karein.
Yeh waqia Pakistan mein barhtay huy digital frauds ka hissa hai, jahan mashhoor shakhsiyat ko nishana banaya ja raha hai taake logon se dhokay se paise liye ja sakein.