Turkey ne Jummah kay din aylaan kiya kay usne Israel kay saath apne tamam talluqaat khatam kar diye hain, jo dono mumalik kay darmiyan tanazaat mein aik naya morh hai.
Turkish Foreign Minister Hakan Fidan ne kaha kay hukumat ne faisla kiya hai kay Israel kay saath tamam iqtisadi aur tijarati taaluqat khatam kiye jayein aur Israeli aircrafts kay liye Turkish airspace band kar diya jaye.
Unka kehna tha:
“Humne faisla kiya hai kay Israel kay saath apne tamam iqtisadi aur tijarati talluqaat mukammal tor par khatam kar dein aur apna airspace uske planes kay liye band kar dein.”
Is faislay ka Israeli airlines par bara asar hoga kiyun kay Turkey Europe aur Asia kay darmiyan aik aham transit hub hai. Turkish airspace kay baghair, Israel se Georgia, Azerbaijan aur dosri regional manzilon kay safar mein kam az kam 2 ghante zyada lagenge, jis se flight costs barh jayengi.
Israel ki taraf se ab tak koi official response nahi aaya.