Psy Under Investigation for Illegal Prescription of Xanax and Stilnox in South Korea

South Korean singer Psy, jo apne duniya bhar mein mashhoor gane “Gangnam Style” ki wajah se mashhoor huy, is waqt South Korea mein tehqiqat ka samna kar rahy hain. Psy par ilzam hai kay unhon ne aik hospital se bina in-person medical check-up kay controlled drugs kay prescriptions hasil kiye.

DongA Ilbo kay mutabiq, Seodaemun Police Station Psy kay khilaf Medical Services Act kay under investigation kar rahi hai, aik criminal complaint kay baad.

Khabron kay mutabiq, Psy par shak hai kay unhon ne Xanax aur Stilnox jaise psychoactive drugs ka prescription Seoul kay aik general hospital se 2022 se ab tak hasil kiya, bina kisi face-to-face doctor kay muainay kay. Yeh dawaien allegedly unke manager ne hospital se lekar di. Xanax anxiety kay liye use hoti hai jabke Stilnox neend ki bimari (insomnia) kay liye di jati hai. Dono hi dawaien aisi hain jo sirf doctor kay direct diagnosis kay baad di ja sakti hain kiyun kay inka addiction ka risk bohat zyada hota hai.

Psy ki management company, P NATION ne aik official bayan mein kuch ilzamat ko tasleem kiya aur paish aane wali controversy par maafi maangi.

Unka kehna tha:

"Psy ko chronic sleep disorder ka samna hai aur wo medical supervision kay tahat prescribed sleeping medication le rahe hain."

"Unki dawaiyon ka istemal hamesha medical professionals ki nigrani mein hua hai aur dosage bhi sahi tareeqe se prescribe kiya gaya hai."

P NATION ne dawaon kay prescription process mein kisi bhi qisam kay ghalat amal se inkar kiya lekin yeh maana kay kuch dafa medication Psy kay bajaye dosre logon ne collect ki. Company ne ye bhi tasdeeq ki kay police ki investigation abhi jaari hai.

Authorities ne us doctor ko bhi giraftar kiya hai jo ye dawaien prescribe kar raha tha aur hospital ki talaashi le kar Psy kay medical records bhi hasil kiye gaye hain. Doctor ne in ilzamat se inkar kiya hai aur kaha kay ilaaj remote tor par kiya gaya tha.

Psy, jinka asal naam Park Jae Sang hai, ab 47 saal kay hain. Unhon ne 2012 mein “Gangnam Style” kay zariye duniya bhar mein shohrat hasil ki thi. Ye video YouTube par pehli dafa 1 billion views tak pohanchne wali video bani aur November 2012 se July 2017 tak sab se zyada dekhi jane wali video rahi.


Previous Post Next Post
⚠️ WELLCOME TO MY AFFAILIATE SHOP JUST CLICK.
👉 LATEST DEALS DEKHEIN